movies b grade...

movies

clickhere....

Tuesday, January 4, 2011


AQAL, SHARAM aur MUHABBAT

Aik din aik nami girami hakim sahab kay pass " Aqal " aayee , Hakim sahab nay
sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehti hay?? to "Aqal " nay jawab diya kay "
main Aqal hoon aur insaan kay dimagh main rehti hoon " kuch he dair main hakim
sahab kay paas "Sharam " aaye , hakim sahab nay phir swal kya kay tu kon hay aur
kahan rehit hay ??, tu "Sharam " nay jawab diya kay " main sharam hoon aur
insaan ke aankh main rehti hoon " thori dair baad hakim kay sahab kay pass
"Mohabat" aayee hakim sahab nay us say bhe yahi sawal kya kay tu kon hay aur
kahan rehit hay ??to "Mohabbat " nay jawab diya kay " main mohabbat hoon aur
insaan kay dil main rehti hoon " aglay din hakim sahab kay pass "Gussa " aaya ,
hakim sahab nay poocha tu kon hay aur kahan rehta hay?? to " Gussa" nay jawab
diya kay " main gussa hoon aur insaan kay dimagh main rehta hoon " tab hakim
sahab chonk ker bolay kay wahan to " Aqal " rehti hay , to gussa bola , "jab
main aata hoon tab Aqal chalee jaatee hay " kuch dair baad "Ishq "aaya hakim
sahab nay phir sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehta hay ?? to Ishq nay jawab
diya kay " main ishq hoon aur insaan kee aankh main rehta hoon " tab hakim sahab
bolay kay wahan to "Sharam "rehti hay to Ishq bola " jab main aata hoon tab
sharam chalee jaatee hay " kuch dair baad "Lalach" aaya , hakim sahab nay poocha
tu kon hay aur kahan rehta hay?? to woh bola " main Lalach hoon aur insaan kay
dil main rehta hoon " hakim sahab nay kaha kay wahan to" Mohabbat" rehti hay to
lalach nay jawab diya kay "jab main aata hoon tab mohabbat chalee jaatee hay "

"Nothing can cure the soul but the senses, just as nothing can cure the senses
but the soul."

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...